Ghar Baitha IRCTC sa Online Train Ticket Booking Kara

Ghar Baitha IRCTC sa Online Train Ticket Booking Kara
Aj kal ka iss modern age ma savi koi chata h ki wo koi v kam jaldi sa jaldi aur ghar baita baita kr la taki unha jayada harassment ka samna na karna para. Aur jab bt ati h train ki to hm savi janta h train amm logo ka liya life line ka kam karti h.

Ticket booking from IRCTC


So friends ab woh din purane ho gaye jab train ticket book karne ke liye aapko counter par ghanto line mein khada hona padta tha jaisa ki aapko pata hai aajkal hum jyadatar booking online hi kar lete hai thik usi tarah aaj hum janenge ki online railway ticket book kaise kare. Aaj jo main aapko tarika batane wala hu woh mobile aur pc dono ke liye hai aapko jo bhi pasand aaye usay use kare.
IRCTC ka full form Indian Railway Catering & Tourism Corporation hota hai yeh yeh site online railway ticket book karne ke liye sabse popular site hai. IRCTC pehle desktop par hi work karta tha lekin baad mein jaise jaise android users badhne lage tab IRCTC ne apna official android application bhi launch kiya jiska naam IRCTC Rail Connect hai. IRCTC ki madad se se aap general, tatkal, handicap jaise tickets bhi book kar sakte ho toh chaliye jante hai online railway ticket book kaise kare.

Method 1: For PC Users Only

Step 1: Sabse pehle aapko apna pc browser open karna hai. Aap chahe toh kisi bhi browser ka use kar sakte ho main aap sabhi ko google chrome/moiizilla firefox browser recommend karunga

Step 2: Apne browser mein IRCTC Official Site open kare. Aaj hum isi site ki madad se online railway ticket booking karne wale hai

Step 3: Site puri tarah load hone ke baad login form show hoga so aapko ab apna irctc account login karna hai. Agar aapke paas irctc account nahi hai toh sign up option par click karke new account register kare

Step 4: Jab aapka irctc account open ho jayega tab left side mein plan my journey option ke andar aapko apne journey details kuch iss tarah se enter karne hai aur submit button click kar dena hai


  • From Station: Iss option ka matlab hota hai ki aap kis jagah se train pakdna chahte ho. Aapke ghar se jo bhi station sabse najdeek ho usey enter kare. Jab aap station name enter karte ho tabhi aapko station code show honga jise aapko select karna hai
  • To Station: Iss option mein aapko woh station enter karna hai jis station tak aap travel karna chahte ho. Iss option mein bhi jaise hi aap station name enter karte ho usi time station code show hoga jise aapko select karna hai
  • Journey Date: Iss option mein aapko woh date enter karna hai jis date ko aap apni journey start karna chahte ho
  • Ticket Type: Iss option mein aapko ticket type select karna hai. Ticket two types ke hote hai first E-Ticket & second I-Ticket. Aajkal mostly log E-Ticket ka use karte hai iska reason batane se pehle aapka yeh janana jaruri hai ki E-Ticket & I-Ticket mein kya difference hai ? E-Ticket book hone ke baad aapko apna ticket apne registered email aur mobile number par recieve hota hai aap chahe toh uska print out nikalwa sakte hai jabki I-Ticket aap tak courier service dwara pahuchta hai jis wajah se aapko extra charges bhi pay karne hote hai. Agar aap I-Ticket book karna chahte hai toh isey journey se 3-4 days pehle hi book kare
Step 5: Next page par aapko unn trains ke naam show honge jo aapke bataye station tak jate ho. Iss page par bhi kuch aise options hai jinhe samjhna jaruri hai tabhi aap inhe fill kar sakte ho

Quota Options:
  • Genral Quota: Yeh sabhi logo ke liye banaya gaya hai isme koi bhi travel kar sakta hai mostly person isey quota ka use karte hai lekin iske seats jaldi book ho jate hai isliye dusre quota available hai.. General quota ki booking 120 days pehle advance mein ho sakti hai
  • Premium Tatkal Quota: Yeh option unn logo ke liye badhiya hai jo waiting se bachna chahte hai. Premium tatkal mein extra charges pay karne hote hai aur yeh jyadatar tyohar ke time open hote hai jaise holi, diwali, rakshabandhan etc. Premium tatkal tabhi start hote hai jab tatkal ticket khatam ho jate hai aur isey sirf oinline book kiya ja sakta hai
  • Physically Handicap Quota: Yeh quota unn logo ko dhyan mein rakhkar banaya gaya hai jo viklang hai aur thik se chal fir nahi sakte
  • Ladies Quota: Yeh quota ladies ke liye banaya gaya hai aur isme sirf 6 berth available hai. Agar koi lady akeli ho ya fir unke sath koi 3 years se kam age ka baccha ho woh iss quota mein travel kar sakte hai
  • Tatkal: Agar general quota mein seat full ho gayi ho tab aapke liye tatkal accha option rahega. Tatkal tickets ki booking 10 AM-12 PM start hoti hai lekin aapka yeh janana bhi jaruri hai ki 10 AM-11 AM AC class ke liye hai aur 11 AM-12 PM Non AC class ki booking start hoti hai
Other Options:
  • Train No: Yaha aapke train ka number show hoga
  • Train Name: Yaha train ka naam show hoga
  • From: Jis station se aapki journey start hogi
  • Departure: Jis timing par aapki journey start hogi
  • To: Jis station par aapki journey khatam hogi
  • Arrival: Jis timing par aapki journey khatam hogi
  • Distance: Yeh aapke journey ka total distance hai
  • Days: Iss option mein aapko yeh show hoga ki train kin days ko open hoti hai jaise monday, tuesday, wednesday etc.
  • Class: Iss option ka matlab hai ki aap kis class mein travel karna chahte ho jaise 1A, 2A, 3A, SL etc.
Step 6: Jab aap apna quota aur class select kar lete ho tab upar availability ka option show hoga. Availability ka matlab hai ki kin days ko seat available hai agar available nahi show hua toh WL likha hoga jiska matlab hai ki train waiting mein chal rahi hai. Agar aap ticket book karna chahte ho toh book now button par click kare


Step 7: Ab aap passengers add kar sakte ho yaad rahe aap maximum 6 passengers ek sath add kar sakte ho agar jyada pasengers add karne hai toh irctc par new account register kare apne new details ke sath. Ek baat ka aur dhyan rahe ki 5 years se kam age ke baccho ka ticket issue nahi hota matlab woh free mein travel kar sakte hai lekin unke details bhi aapko enter karne honge kyuki woh bhi ek tarah se passenger hai


Step 8: Passengers add karne ke baad page neeche ki taraf scroll kare. Iss jagah par sabhi option apni jagah thik hai lekin aap chahe toh apne hisab se inme kuch changes kar sakte hai. Ab side mein captcha challenge hoga usey complete kare aur next button par click kare


Step 9: Next page par aapko payment details add karni hai. Payment ke bahut se options available hai jaise credit card, debit card, net banking, cash card, mobile wallets etc. Jab payment complete ho jati hai tab aapki ticket book ho jayegi



Step 10: Agar aapne ticket type e select kiya hoga toh aapko apna ticket apne mobile number aur email address par recieve ho jayega. Agar aapne ticket type i select kiya tha toh aapka ticket courier dwara 3-4 days mein deliver ho jayega

Iss tarah Computer ki help sa ticket booking complete hoti hai. So fiends yeh method toh pc users ke liye tha ab chaliye android users ke liye bhi jaan lete hai

Method 2: For Android Smartphone Users Only


Step 1: Sabse pehle aapko apne phone mein IRCTC ka official mobile application IRCTC Rail connect install karna hai. Yaad rahe yeh application only android operating system ke liye hai


Step 2: Ab iss application ko install hone ke baad open kare aur train ticket option select kare jo sabse top mein hai


Step 3: Ab apna irctc account login kare. Agar aapke paas koi irctc account available nahi ho toh register button par click kare aur new account register kare


Step 4: Apne account ke liye 4 digit pin enter kare aur usey confirm kare fir submit button par click kare. Apna pin yaad rakhe kyuki bina pin aap apna account dobara open nahi kar sakte


Step 5: Ab apne journey details enter kare. From option mein apne najdeeki railway station enter kare jaha se aapki journey start hogi. To option mein woh station enter kare jaha tak aap travel karna chahte ho. Ab date select kare aur search train option par click karde


Step 6: Next page par sabse top mein aap quota select kar sakte ho jaise general, ladies, tatkal, premium tatkal aur usi page par departure option mein available train show honge aapko apne pasand ke train par click karna hai


Step 7:Ab aapko apna class select karna hai jaise 1A, 2A, 3A, SL etc. Class select karne ke baad agar seat khali hua toh available show hoga nahi toh WL likha hoga matlab train waiting mein hai. Jab aap yeh sabhi streps complete karle uske baad book now button par click kare


Step 8: Ab aap add passenger button par click karke passengers add kare. Agar aapke sath koi baccha hai jiski age 5 years se kam ho toh uske liye add child button par click kare. Jab passengers add ho jaye book ticket option par click kare


Step 9: Book ticket option par click karne ke baad net amount show hoga jo aapko aage pay karna hai. Net amount ke neeche captcha text show hoga jise aappko usi ke saamne wale box mein enter karna hai aur proceed to payment button par click kar dena hai



Step 10:Iss page par aap apna payment complete kar sakte ho. Payment complete karne ke bahut se option hai jaise credit card, debit card, net banking, cash card, mobile wallets etc.


Step 11:Ticket book hone ke baad iska message aapko aapne email adddress aur mobile number par recieve ho jayega


So dosto aj maina appko bataya ki ghar baitha baitha online khud sa train ticket booking kaisa kara aur dalalo ko jayada paisa dana sa bacha aur kuch extra jankari ka liya hamara blog pr rergular visit kara.
Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.