Android Ki Top Secreate Important and Special Tricks

Android Ki Top Secreate Important and Special Tricks
Dosto Aaj-kal ki iss duniya ma android smarthphone mobile hona bahut aam baat ho gayi hai.Jaise Jaise zamana aage badh raha hai vaise-vaise android mobile me naye-naye feuters update hote rehte hai. Android operating system se puri duniya hamari muthi me hoti hai.Matlab ham ek mobile se hi chahe to sab kuch kar sakte hai wo bhi ghar baithe-
baithe.Jaise ki,Online Shopping karna,Online Recharge karna,Ticket book karna etc.
                                                           
                                                                              
 
Android ki operating system me iske andar hi kuch aise tricks hai jise aap apne mobile ko ek computer ki tarah operate kar sakte hai.Aaj janege kuch aise hi Useful Tips and Tricks.
 
1. Apna Android Mobile Ki Space Free Kare
Agar aapke pas 4gb,8gb ya 16gb ka memory card hai.Fir bhi zyada files hone ke karan aapke mobile ki space full ho jati hai toh aise waqt me kya kare ki aapko kuch delete nhi na karna pade or aapke mobile ki space bhi free ho jaye.Iske liye aap diye hue steps ko follow kare.

* Open File Manager >>Android Named Folder Delete Android Folder. 

NOTE : Is Trick me dyaan rahe ki sirf android naam ka folder hi delete karna hai.Werna koi or File bhi delete ho jayegi.

2. Mobile Camera Se Image Ki size Kaise Kam Kare

Agar aap chahte hai ki aap jo photo khichte hai uski size kam ho.Bahut se mobile me High resolution hone ki wajah se photo click karne par Photo ki size jyada hoti hai.

* Agar aapka mobile 5mp ya 8mp ka hai toh aap Moblie camera me jaye.Fir Setting ko open kare.Or Image Resolution ko select kare Aap ko jo Acha or kam lage wo resolution set kar de ab ap jo v photo langa uski size kam hogi.

3. Kisi Bhi Text Data Ko Mobile Me Kaise Save Kare

Aap whatsapp ya facebook ya kahi pe bhi kuch padh rahe hai or wo chiz aapko pasand aa gai Or aap use apne mobile me save karna chahte hai toh konsi jagah par save kare jo sabse safe ho.

* Agar aap whatsapp me save karte hai to wo kabhi bhi apne aap delete ho sakta hai.Islie sabse best jagah Mobile Memo hai.Kisi bhi content ko aap copy kar ke mobile me Memo me hi save kare.

4. Internet Connectin Bar-Bar Band Ho Jana

Agar aap city se dur reh rahe hai ya fir aapka simcard company aisi hai jiska aap ke waha kam network mil raha hai toh upar batayi gai problem aapke android mobile me ho sakti hai.

* Iske liya ek simple Trick hai Jab bhi aisa ho to apne Android Mobile ke Setting me jaye Fir Flight Mode On Kar dijiye 1-2 minute tak aisa hi rehne de fir Flight Mode Off Kar dijiye.

5. Baar-Baar Mobile Hang hona
* Agar aap apne android mobile me kuch use kar rahe hai or baar baar aapka mobile hang maar raha hai.Toh sabse pehle Home par aa jaiye.Fir Sare Application Close kar dijiye.Ab Task Manger Me jake Clear Ram par Click kar de.Ab aapka mobile hang hona band ho jayega.

6.Mobile Me Image Size Kaise Kam Kare Taki Hamari MBs Bach Sake

Jo Android mobile ke camera 5mp ya 8mp hai.Agar use aap photos khichte hai toh aapke photos ki size 2mb se 5mb tak ho sakti hai.Ise hamari mobile ki space jald hi full ho jati hai.Par agar aap chaho to bina kisi application ke aap image ki size ko 30kb se 200kb tak ka sakte hai.Jise aapki MBs bach sakti hai.

* Iske liye aapko Mobile Gallery me jana hoga.Fir jiska size kam karna chahte hai voh photo ko open kare.Ab Option par click kare.Fir Crop select kare.Or puri image ko crop kar le.Is tarah aapki image size bahot kam ho jayegi.

7. Bina Typing Kiye Google Pe Kaise Search Kare

Agar aapko google pe kuch dhundna ho to type karna padta hai par agar aapko typing karne me kantala aata hai or time wasting lagta hai toh aap Google Search ke baju me ek chota sa Google Voice ka button hota hai Uspar Click kar dijiye.Fir aap jo bhi dhundna chahte hai wo bole Google aapki aawaz ko record karega.Aur searching karna chalu kar dega.

8. Android Mobile Me Free Internet Chalaye

Aj kal ka iss dawr ma internet logo ki ak essential thing banti ja rahi h pr iska liya kuch paisa v dana hota h mager mai batauga ki Opera Mini Handler App ka jariya app asani sa Free Internet use kr sakta h.
Agar aapka simcard Airtel ka hai toh aap badi aasani se Opera Mini Handler app ko download kar ke usme internet chala sakte hai.

* Free Internet Access karne ke lie aapke mobile me balance 0rs hona chahiye.Aur ha Note kar le ke Ye tricks kabhi work karta hai toh kabhi nai karta.Fir bhi me aapko solution duga aap muje bata dena work karta hai ki nahi.

9. Android Mobile Ki Battery Ko Lambe Samay Tak Kaise Chalaye
* Battery ki long life ke liye sabse pehle aap Un Application ko delete kar de jo kisi kaam ke nai hai Ise aapki space bhi free ho jayegi.

* Apne Mobile ki Brightness ko kam rakhe Or Screen Timeout 15 second ya 30 second rakhe.

* Phone ko Vibrate Mode pe na rahe Or Ringtone mode par rakhe.

* Bluetooh,Wifi,GPS,Mobile Data jaise features ka kaam ho jane ke baad turant band kar de.

* Mobile ko baar baar charge na kare or jab bhi charging kare toh 95% tak hi charge kare.

10.Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Kaise Tode

Kai baar hm mobile me pattern lock kar dete hai or fir bhool jate hai ki konsa pattern use kia tha.Tab ham confuse ho jate hai kyo ki mobile puri tarah se lock ho chuka hota hai.Aise samay me ek trick hai jise aap apne mobile ki pattern lock ko unlock kar sakte hai.

* Sabse pehle apna Mobile switch off kar de.Fir Volume Key+Home Key or Power on Key ek sath 15 second tak daba kar rakhiya. 



* Ab Ek Boot menu khulega usme Factory Reset ko select kare.Select karne ke liye Volume up & down key ka use kijiye.Fir Home button se Factory Reset me Ok kar dijiye.Bs Ab aapka phone Reset ho chuka hoga Aur Pattern lock bhi hat chuka hoga.

11. Sirf Aapna Selfi Kaise Le Panorma Shouts Ki Madad Se

Dosto app ka sath ya hamesa hota hoga ki app jab v koi photo lata honga to aapke aas pas jo aadmi aate jate hai ya koi aur bhi chij aajata hai to uski v photo sath ma aa jati h lakin ak softwear download karta hi sirf app ki hi photo click hogi aur baki object show nhi hoga aapko ye softwere download karnahai to yaha click kare

12. Apne Mobile Ka Hotspot Use Karke Wifi ka Maja Le:
Hello dosto kya aapko malum hai ki aap apne android mobile ke hotspot use karke wifi ka maja le sakte hai jyadar dosto ko ye malum nahi hota hai magar mai aapko aaj Yaha par ye btane wala hu chaliye jante hai kaise use kare hotspot
* Sabse pehle aapko apne mobile ke Setting me jana hai



* Uske bad aapko More par click karke Portable hotspot par click kare 

* Apana hotspot on kar de waha se aapko left side par click karke More option me click karke Password set karde taki aapki wifi koi use na kare agar aap chahte hai ki aapki wifi use karke aapke dost bhi net ka use kare to aap hotspot use karke aisa kar sakte hai.  

* Agar aap chaha to aapki hotspot laptop me bhi net use kare to aap apne mobile ka hotspot on karke laptop me connect karke net use kar sakte hai

Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.