Protect Your Content With DMCA and Takedown against infringement content In Hindi

Protect Your Content With DMCA and Takedown against infringement content In Hindi
Blogger ya WordPress ak bahut hi bahaterin platform h jiska jariya aap apna knowledge ko online distribute ker ka apna aap ko famous bana sakta h aur sath hi sath ussa paisa v kama sakta h. Lakin
bahut sa aisa chief type ka log v h jo aapka mahanat sa likha gaya content ko copy ker ka apna website ma dal data h jissa aapka tariff per asar parta h, aur visitors ko ya samaj ma nhi ata h ki original content kon sa h.

Protect My Content To Copy Paste


Ager aapka sath v aisa hota h to aj aapko ya post ko bahut hi dhayan sa padna chaiya, q ki iss post ma maina bataya h ki aap apna content ko save kaisa ker sakta h. Aur ager koi aapka content ko chori karta h to uska against action kaisa la sakta h.
Aap ma sa bahut sa logo na DMCA (digital millennium copyright act) ka bara ma nhi suna hoga. To mai aapko bta du ya akk act h jiska jariya ager aapka content ko koi chori karta h to isski jankari aapko chal jati h aur uska report Search engine ko ker sakta h aur search engine uss infringement content ke against takedown action lata hua ussa search engine sa remove kar data h.
Ager aap chata h ki aapka website v DMCA Protection ka jariya protected raha to uska liya aapko DMCA Account create karna hoga uska bd DMCA Protection Badge ko apna website ma add karna hoga. Jiska bara ma maina nicha bataya hua h.


DMCA Protection Badge ki Benefits:

Aapna bahut si website ma dakha hoga ki ussma DMCA protection ki widget (Badge) lagi rahti h, lakin aapko pata nhi hota hoga ki iss widget ki benefits kya h aur issa website ma q lagaya gaya h. To maina nicha kuch points likna h jissa aapko samaj ma aa jayaga ki website ma DMCA Protection Badge q lagaya jata h.

1. Ager aap apna blog ya website per DMCA Protection ka Badge ko lagata h to aapka blog content ko protect by DMCA certificate milega.
2. Website ya blog ka every content and page DMCA ke dawara protect hoga.
3. DMCA dawara website protect hone par infringement content ke against quick takedown action le sakte hai, aur sath hi sath Infringement content ki bhi monitoring ki ja sakti hai.
4. Aapki website blog ki daily monitoring ker sakta h.

Add DMCA Protection Badge to Your website:

Ager aap apna website per DMCA Badge ko add karna chata h to iska liya aap free ya paid dono ma sa koi v service ka istamal ker ka apna website ma issa add ker sakta h. Aur ager aap ka website wordpress per h to simple plugin ki help sa issa add ker sakta h.
Mai yaha aapko step by step manually bata raha hu jisska jariya ager aapka website blogger per v h to iss DMCA badge ko apna blogger website per add ker sakta h.

Step 1: Sabsa pahala aapko DMCA ki website per jana h aur apna account create karna h.



1. Your First Name
2. Your Last Name
3. Your Email ID
4. Click on Signup

Step 2: Ab aapka Email ID per aapka DMCA account ka user name aur password jayaga to ab aap apna Email ID check kara aur Dubara DMCA site ma jaker login kara.


Step 3: Ab aapka samna kuch aisa page open hoga ussma aapko Add Badges to your site per click karna h.



Step 4: Ab aapka samna akk new page open hogi jisma aapko apna manpasand ki badge ko select ker ka uska code ko apna website ma add karna hoga.


1. Yaha aap apna pasand ki badge ko select kara.
2. Ya code aapka dawara choose ki gayi badge ki h, ussa apna website ma add kara.
3. Ager aap blogger ka istamal karta h to yaha click ker ka direct badge ko apna website ma add ker sakta h.

Note: Badge add karna ka 30 din ka bd aapka website DMCA ki taraf sa verify kiya jayaga isiliya badge ko 30 din tk apna website ma laga ker hi rakha. Akk br aapka website verify ho gaya to aapko DMCA certificate mil jayaga.
To dosto iss tahara aap apna website ki content ko protect ker sakta h aur ussa chori hona sa bacha sakta h. Ummid karta hu ki aapko ya jankari pasand ayi hogi.

Agar apko iss post sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara taki issi tarah hm aapka liya aur v acchi acchi article publish kr saka.

2 comments

avatar

HI
AAPKA BLOG BAHUT ACHA HAI,
MERI BAHUT HELP HUI HAI AAPKE BLOG SE
THANKU SO MUCH

Reply
avatar

thnx bhi ager aaplog ka sath raha to mai aur v acchi acchi jankari dunga....

Reply

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.