Earn Money From Sell
Domain Name: Friends ager aap koi
website ka owner hai phir aap internet sa paisa kamate honga to aapko pata hi
hoga ki domain name kya hai aur isska use kaha hota hai. Lakin ager aapko pata
nhi hai to mai aapko batata hu ki domain name aapke website ka main URL address
hota hai jiss per visit ker ka koi v visitors aapke pura website ko access ker
sakta hai.
Lakin kya aap janta hai aap domain
name ko sell ker ka पैसा वी कमा सकते है| Ji ha aapna sahi
suna aap domain name ko sell ker ke paisa ve kma sakte hai, to aj mai aapko isi
ka bara ma batane wala hu ki kaise aap domain name ko sell ker ke paisa kma
sakta hai. To ager aap v domain sell ker ka paisa kamana cahate hai to aap mari
iss post ko pura read kariye.
Domain Sell ker ke Paisa kaise kamaye:
Ager aap domain sell ker ka paisa kamane cahate hai to aapko kuch bato ka
dhayan rakhna bahut jaruri hai.
1. Buy Attractive Domain Name: Domain ko sell
karne ka liya sabse pahale aapko akk accha sa Domain name buy karna hoga. Aapka
domain name jitna accha aur unique hoga wo utna hi jayada prize ma sell hoga.
Domain name Buy karne ke liye aap Godaddy, Bigrock jaise website ka use ker
sakte hai.
2. Don’t buy Brand related domain name: Aap jab v koi
domain name ko buy kar rahe ho to iss bat ka jarur dhayan rakhe ki wo domain
name kisi brand name ya kisi company sa related na ho. Warna ager uss brand ya
company ka owner na case ker diya to aapka buy kiya gaya domain name block v ho
sakta hai.
3. Now Sell Domain Name: Ab jab aapna akk
accha sa domain name ko buy ker liya hai to ab mai aapko kuch aisa website ka
bara ma bahata hu jisska jariya aap Globally Domain Name sell ker sakte hai.
- Flippa: Ya bahut hi acchi website hai jaha per aap Domain name buy, Sell ka sath sath App ko v buy ya sell ker sakte hai. Flippa ki akk khash bat ya v hai ki aapko yaha per unn domain name ki list v mil jayagi jo kuch samaya ka bad Expire hona wali hai.
- Sedo: Sedo ve akk aisi website hai jasper aap domain ko buy aur sell ker sakte hai. Iske alawa aap Domain ko park ker ka paisa ve kama sakta hai. Issa mai khud use karta hu so ager aapko issa related kuch v jankari cahaye to uski jankari mai aapko da sakta hu.
- Godaddy Auction: Godaddy ka name to aap savi na suna hi hoga ya bahut hi purani aur trusted website hai jaha sa ham cheap rate ma new domain aur hosting buy ker sakte hai. Lakin Godaddy Auction ka istamal ker ka aap Domain Name sell ve ker sakte hai. Godaddy Auction join karne ka liye aapko 400 rupee/Year pay karna hota hai tavi aap Godaddy per Domain sell ker sakte hai.
- Namejet: Namejet utni popular to nahi per trusted website hai, iss per ve aap domain buy aur sell ker sakte hai aur sath hi sath namejet per aap kuch days ma expire hone wale domain ki list ve dakh sakte hai.
Agar apko iss post sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.
Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.