Android Mobile se Free Call kaise kare

 Android Mobile se Free Call kaise kare
Hi Dosto,Mene isye pahle bataya tha kaise hum Voxvox se Indian Whatsapp ko VIP number me convert kar sakte hai. Agar dekha jaye toh Internet pe sabse adhik yahi search kiya jata hai ki, Mobile se kisi bhi number pe free call kaise karte hai. Aaj kal sabhi mobile operators ne call rate mahnga kar diya hai.Aap India me kahi bhi call karo ,local ho ya STD apko adhik bill dena parta hai. Agar aap International call karte hai toh apko ₹6 se ₹12 per minute payment karna hoga.Mene isye pahle 2 method or bataya tha free unlimited call ka,Or aaj bhi free calling tricks batane ja raha hu.Lekin ye ek diffrent method hai free unlimited call ke liye.
Is trick se aap Local,STD,ISD sabhi call free me kar sakte hai wo bhi unlimited.Mene ye free call trick khud try kiya hai.

Voxvox se Free call karne ke liye kya chahye


Voxvox se free call karne ke Steps

Step 1.
Sabse pahle apne Android phone ne Voxvox App download or install kare.
Step 2.
Ab Voxvox app ko open kare.Open karne ke baad SIGN ME UP pe click kare.
Step 3.
Ab apke phone me ek page open hoga jaha apko apna mobile number,email id ,username or password type karna hai. Country me India select kare.
Step 4.
Sign up process complete hone ke baad Voxvox me login kare.
Voxvox

Step 5.
Voxvox app me enter karne ke baad apko Call tab pe click karna hai.Phir ek dial pad dikhega.Waha pe +1 ki jagah +91 type kare phir apne friends ya relative ka number type kare.Or call karde.Apka call connect ho jayega.
Step 6.

Agar aap ISD call karna chahte hai toh +1 ki jagah sahi country code ke sath number type karke call kare.


Last words

Congratulations aaj mene apko bataya kaise aap Voxvox ka use karke free call kar sakte hai,or apne mobile me recharge karane se bach sakte hai.Ye ek simple ,easy or useful trick hai.Agar apko upar ke step me koi bhi problem aa rahi hai toh comment karke puch sakte hai.
Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.