Top 5 reasons Dipawli manana ka aur top lines on Dipawli-2017

Top 5 reasons Dipawli manana ka aur top lines on Dipawli-2017
Hello dosto kaise ho aap log, sabse pahle aap sab ko Diwali ki bahut sari subhkamnaye aur hum umeed karte hai ki aap ye din bahut enjoy karo. Jese ki hum sab ko pata hai ki Diwali Hinduio ka festival hai aur Diwali jise pure world me festival of lights ke naam se jana jaata hai, burai par achai ki, andhkar par prakash ki or agyan par gyan ki jeet ka tyohar hai. Aaj ke din gharo me roshni na kewal sajawat ke liye hoti hai balki ye jiwan or satya ko bhi dikhata karti hai. Prakash andhkar ko mita deta hai or achai burain par vijay hasil kar leti hai. Diwali 2017 jise is sal 19 october ko manaya jayega.

Happy Dipawli 2017



Dipawli q manaya jata h?

Hum diwali kyu manate hai, akhir iske piche karan kya hai. Kuch log kehte hai dipawali ke din ayodhya ke raja Ram lanka ke atyachari raja Rawan ka vadh karke ayodhya wapas lote the. Unke ayodhya aane ki khushi me dipawali ka tyohar manaya jaata hai. Deepawali manane ke piche alag alag rajyo or dharmo me alag alag karan hai. Dharm koi bhi ho lekin is din sabhi ke mann me ullas or prem ka diya jalta hai. Hum sabhi apne gharo ki saf safai karte hai or kayi pakvan bhi banate hai.

Top five reasons to celebrate dipawli:


  • Bhagwan Ram ki vijay:- Hindu dharm me mana jata hai ki dipawali ke din ayodhya ke raja Ram. lanka ke atyachari raja Rawan ka vadh karke ayodhya wapas lote the. Unke ayodhya aane ki khushi me dipawali ka tyohar manaya jaata hai.
  • Vishnu ji ka Narsingh roop:- Ek poranik katha ke anusar bhagwan Vishnu ne Narsingh roop dharan kar Harinyakashyap ka vadh kiya tha. Or isi din samudramanthan ke doran Lakshmi or Dhanvantri prakat hui thi.
  • Shri krishan ne kiya tha Narkasur ka vadh:- Diwali ke din pehle rakshash Narkasur ne 16000 aurato ka apaharan kar liya tha. Tab bhagwan shri krishan ne asur raja ka vadh karke sabhi aurato ko mukt karvaya tha. Krishan bhakti dhara ke log isi din ko diwali ke roop me manate hai.
  • Sikho ke liye hai khas din:- Is din sabhi sikh apne tisre guru Amar Das ji ashirwad leneke liye ekatha hote hai. 1577 mei is din swarn Mandir ka shilanyas hua tha or iske alava 1691 mei kartik amavasya ke din sikho ke 6 guru Hargobind Singh ji ko jel se riha kiya gaya tha.
  • Arya samaj ki sthapana ke roop mei:- Is din Arya samaj ki sthapana Harshit Dyanand ne bharatiya sanskriti ke mahan jan-nayak bankar diwali ke din ajmer ke pas avsan liya tha. Iske alawa mugal samrat Akbar ke shasan kal mei dolatkhane ke samne 40 gaj. unche bans par ek bada deep jalakar latkaya tha. Vahi Shash Alam duitiya ke samaye mei pure shahi mahal ko deepo se sajaya jata tha.

Dipawli ka uper best Status or Sayari:

Diwali ke kuch din pahle se hi bahut se log Google pe Diwali se related article ko search karna start kar dete hai, koi images dhundta hai to koi SMS hindi lines.  Ye lines aap apne family member, friends, uncle and others ko social media sites ke through de sakte hai.

  • Sab gharo me ho ujala, na ho kahi pe kaali raat. Sab gharo me ho khushiya aur manao diwali. Happy Diwali all of you.
  • Aapko aur aapke pure pariwar ko humari tarf se Diwali ki bahut bahut subhkamnaye. Happy Diwali all of you.
  • Main apne bare me kya batao dosto………………….. ki ab to diwali bhi Sunday ko aane lagi hai. Happy Diwali all of you.
  • Humari taraf se sab ko Diwali ki subhkamnaye. Hum aapse niwedan karte hai ki is din na to bomb fode aur na ki daru piye. Ye din Ma Lakshmi Ji ka hai, is din puja karke Diwali manaye. Happy Diwali all of you.
  • Diwali ki raat puri lights se jagmagati hai, hum dua karte hai ki aapki life bhi isi tarh khushiyo se jagmagaye. Happy Diwali all of you.
  • Is ache din me hum aapko dher sari Diwali ki badhayi dete hai aur hum bhagwaan se dua karte hai ki aapki life me khushiya hi khushiya ho. Happy Diwali all of you.
  • Hum pahle ki kah rahe hai ki na bharosha mobile ka, na bharosha battery ka aur na bharosha sim ka. Haapy Diwali advance me. Happy Diwali all of you.
  • Holi wale din sab mujhpar rang fek rahe tha aur diwali wale din main sab par bomb fek raha tha. Agle din pura mahola mujhe dhund raha tha. Happy Diwali all of you.
  • Upar wale ki rehmat dekho, bhagwaan ka diya hua sab kuch hai par sala Diwali wale din chhuti nahi hai. Chalo koi baat nahi…………….. Happy Diwali all of you.
  • Jis tarah Diwali wale din har jagah roshni hi roshni rahti hai usi tarah usi tarh aapke face pe muskaan ho aur aapki life me bhi khushiya khushiya ho. Happy Diwali all of you.
  • Ye din Maha Lakshmi Ji ka hota hai, aur hum mata ji se dua karenge ki aapke ghar me khushiya ho. Happy Diwali all of you.
To ya hui Dipawli ki kuch jankari, mari taraf sa aap savi ko Dipawli ki bahut bahut subhkamnaya...
Wishing You Happy dipawli.



Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.