Google AMP kya h? Pros and Cons of AMP in Hindi

Google AMP kya h? Pros and Cons of AMP in Hindi
Hello friends aj mai appko AMP (Accelerated Mobile Pages) ka bara ma batana wala hu. Google na FEB 2016 ma ak project launch ki jiska nam AMP project rakha gaya. Jiska kam h website ki loading time ko kam karna aur website ko fast load karna. Lakin AMP ki ya project sirf mobile ya tablet ka user ka liya h yani ager appna apna website per AMP enable kiya h aur appka website ko koi apna mobile ya tablet per open karta h to appka website fast open hoga but Computer ya laptop pr work nhi karta h.

AMP full details in Hindi



Hm savi janta h ki aj kal maximum log mobile per hi internet ka istamal karta h isi bt ko dhayan ma rakhta hua google na AMP ki suruwat ki. Taki Google apna users ko accha user experience da saka aur koi v website slow internet ki speed ma v jald sa jald open ho jaya.

Google AMP kaisa work karta h:

Google ka anusar bina AMP wali website ko load hona ma 10-15 sec ka time lagta h but AMP wali website 2-3 sec ma open ho jayaga. APM website ki HTML, JavaScript aur CSS ko minify (Compress) kar data h jissa website fast open hona lagta h. AMP ko three type ma divide kiya gaya h.

1. AMP HTML: Ya appka website ki HTML coding ko AMP enable HTML coding ma convert kar data h aur appka website ko fast load karta h.
2. AMP page: Iska kam appna website ki page sa unn baker ki widget, JavaScript ko hata dana h jiska wajah sa website fast load nhi ho pata h. For Example: Facebook widget, subscribe widget, Popup widget, Adds, sidebar widget.
3. AMP catch: Ya appka AMP website ko Fetch (Read) karta h aur appka website ki performance ko improve kar ka user tak deliver karta h.

Google AMP Pros and Cons:

Maina appko bataya h ki AMP wali website fast load hoti h jisska wajah sa uss website per log jayada sa jayada visit karta h jiski wajah sa unn website ki Tariff increase hoti h. Mager AMP ka kuch fayada h to kuch nuksan v h jiska bara ma maina nicha details ma bataya h.

Pros (Faida) of AMP:

  • Speed Up your Website: Ager appna apna website ma AMP enable kiya hua h to appka website ki loading time kam ho jayagi aur appka website fast load hoga.
  • Boost up your ranking: Ager appka website fast open hoga to appka website per log jayada sa jayada visit karanga jiska wajah sa appka website ki ranking ma v sudar hoga.
  • Free CDN: AMP use karna wali website ko free ma CDN ki service mil jati h jiska wajah sa Google uss AMP website ki catch ko store kar ka rakta h jiska wajah sa slow internet hona per v website open hona ma kam lagta h.
  • Increase CTR and Decrease Bounce Rate: AMP enable website ko Google top ma show karta h jiska wajah sa uss website per log visit karna jayada pasand karta h aur uss website ki CTR increase hoti h.Aur AMP ki wajah sa log website per jayada time spend karta h aur uss website ki bahut sa article ko read karta h jiska wajah sa bounce rate kam ho jata h.
  • Analytic Support: Google AMP wali site ka liya Analytic v supported h, jiska jariya app ya pata ker sakta h ki website per kitna visitor av live h aur wo kis location sa h.

Cons (Nuksan) of AMP:

  • Ads not shown in sidebar: Ager app AMP ka istamal karta h to sirf appka main content ki hi ads show hogi uska alawa sidebar yak ahi koi ads show nhi hoga jiska wajah sa appka revenue kam ho sakta h.


  • No Facebook Like box: AMP wali website ma Facebook ki Like widget mobile ya tablet ma show nhi hogi jiska wajah sa visitor facebook ka jariya appsa connect nhi ho sakta h.
  • No Subscribe widget: AMP enable website ma app ki subscriber widget show nhi hogi jiska wajah sa visitor appka website ko subscribe nhi kar sakanga.
  • No Navigation Menu: Ager app apna website per amp enable karna ka bara ma soch rha h to djayan rakha appka website ki navigation menu v AMP enable karna ka bad kam nhi karagi.
  • Not work in video content page: Google AMP sirf text content ka liya h ager appka website per video content h to ya thik sa work nhi karaga. Video content ko AMP ma convert karna ka liya appko extra setting karni paragi.
  • No customization: Google AMP ko app apna mann ka mutabik customization nhi kar sakta h. Google AMP ka default format ka hisab sa appka website show hoga. 



To dosto Google AMP ka sabsa bara faida ya h ki ya appka website ki speed ko boost karta h jiska wajah sa visitor appka website ko jayada pasand karta h jo ki appka website ki tariff ka liya accha h. Wahi dusri taraf AMP appka Sidebar ki savi widget ko remove kar data h jiska wajah sa appki earning kam ho sakti h. Ab appka uper h app kya chata h, ager appko AMP accha laga to jarur use kara. Lakin ager app website ka jariya paisa kamana chata h to issa use na kara q ki website ki speed ko boost karna ka aur v kai tarika h.

 

Agar apko iss post sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.